­
PAIGHAM 786: Hazrat Sulaimaan Alaihissalam aur bulbul ka waqeya

Hazrat Sulaimaan Alaihissalam aur bulbul ka waqeya

9:58 PM

Hazrat Sulaimaan Alaihissalam Ke Zamane Me Ek Shakhs Ne Hazaar(1000) Dirham Me Ek Bulbul Khareedi Jo Bahut Bolti Thi
Ek Din Uske Pinjre Par Tota (Parrot) Kuch Bol Kar Udd Gaya or
Uss Bulbul Ne Bolna Chhor Diya
Uss Shakhs Ne
Hazrat Sulaimaan Alahiissalam Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Ye Qissa Bayan Kiya
Hazrat Sulaiman Alaihis Salam Ne
Bulbul Ka Pinjra(Cage) Mangwa Kar Uss Se
Khaamoshi Ka Sabab Pucha???
Wo Boli Ke
“Mai Apne Watan Aulaad Ko Yaad Kar Ke Roti Thi or Log Use Geet Samajhte The
Mujhe Tote Ne
Samjhaya Ke Teri
Be-Sabri Hi Is Qaid Se Rahai(Reason) Ka Sabab He
Agar Tu Sabr Kare or Khaamosh Ho Jaye To Chhut Jaye
Lihaza Ab Mai Kabhi
Nahin Bolungi
Hazrat-e-Sulaim -aan Alaihis Salam Ne Us Ke Bulbul Ke Maalik Se Kaha Ke
Tu Us ke Bolne Se
Na-Ummid Ho Jaa
Wo Bola Phir Mujhe Uske Paalne Ki Kiya
Zaroorat He??
Main To Uski Awaaz Ka Aashiq Tha
Ye Keh Kar Usne Uss Bulbul Ko Aazad Kar
Diya
Bulbul Ye Kehti Huwi Udd Gayi Ke
“Paak He Wo Jisne Mujhe Ande (Egg) Me Banaya or Hawa Me Udaaya
Pinjre Me Sabr Dekar Wahaan Se Chhuraya
Ref
Tafseer- e-Roohul Bayan

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *