­
PAIGHAM 786: Chiounti’oun /ants ka qissa Suleman A.s k sath

Chiounti’oun /ants ka qissa Suleman A.s k sath

7:49 PM

Aik bar Hazrat Suleman apnay jin-o-ins aur birds k tamam lashkaroun k sath safar k lye rawana hue. Tau jin aur insan aap k sath sath chal rahay thay. Aur parinday aap per saya kye hue thay, aur apnay paroun ko phela kar garmi dhoop aur dosri cheezoun se sab ki hifazat kar rhay thay… Sab aisay organized tareeqay se saf-dar-saf (in prper rows) thay k koi parinda line me apni jagah se idher udher na hota tha. Chaltay chaltay aik wadi per se guzar hua. Allah ka farman hai, hatta k wo chiountioun /ants ki wadi per aye tau aik chiounti ne kaha: “ Ae chiounti’oun, apnay biloun /holes me enter hojao. Kahin Suleman aur un ka lashkar be-khabri me tum ko rond/ kuchal na da lay…” Tau ye chiounti/ant jiska naam “Jarsa” tha aur apnay qabeelay “ Bano Sheesban” ki sardar thi. Aur paoun se langri thi. Al-gharz Suleman chiounti ki baat samjh gae jo us ne apni qaum ko kahi aur wo baat bari durst raye aur qabl-e-tareef thi jis per Suleman A.S ne smile kia k Allah ne un ko dosroun k elawa kis qadar inam se nawaza hai. Sardar chiounti ne apni qaum ko bachnay aur ehtiat karny ka hukm dya aur sath sath Hazrat Suleman aur aap k lashkar se ma’azrat /sorry ki k hum ne ye hukm islye dya hai k ho skta hai aap logoun ko pata na chalay aur aisi surat me apka lashkar hum ko kuchal jae.. Aik aur riwayat hai aap aik chatai/ carpet per tashreef farma ho kar hawa k dosh per safar kar rahay thay, jab k us surat me chiountioun k kuchlay Janay ki koi surat hi nahi ho skti thi.. (aur ye riwayat me bht ghalti hai..)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *