(continue) Hazrat Suleman ki wafat zikr: (jin'oun ka demak ko shukar karna
9:37 PM
Hazrat Suleman kharay kharay wafat pa chukay thay, aur aik saal tak youn hi kharay rahay aur jin aap k darr ki wajah se kaam karty rahay.
Phir lakri/ wood ko keeray ne kha lya. (tab Suleman giray aur phir pata chala k aap wafat pa chukay hai)
Insano ko pata chala k agar jin ghaib jantay hotay tau aik saal tak zillat k sath kaam me phanasy na hotay.
Phir jin’oun ne zameeni keeray (ghun / demak) ka shukar kia, phir wo pani k sath un k pass anay laga.
Riwayat hai k aik jin is gharz se mehrab me enter hua k daikhoun k aap kia kar rhay hain? Ye andar gya tau aap wafat pa chukay thay. Tau shetan foran bahar nikla aur sab ko khabar di.
Logoun ne darwaza khol kar aap ko bahar nikala aur daikha k stick ko keera means demak lag gae hai.
But ab pata nahi chal raha tha k kitny time se aap ki wafat ho chuki hai. Tau unho ne demak ko aik lakri per rakha aur wo keera din o raat usko khata raha.
Phir hisab se pata chala k almost aik saal pehlay Suleman ki wafat ho chuki thi.
Tamam sarkish aur ziddi jin puray saal tak Suleman ki maut k ilm na honay per puri mehnat se kaam karty rahay aur insano ne bhi yaqeen kar lya k waqae shayateen (jin) ko ghaib kai lm nahi. Agar hota tau youn be-ilmi me maray na jatay.
Un ko aap ki maut ka ksi ne nahi bataya siwae zameen k keeray k jo aap ki lathi ko khata raha.
Phir shetan ne demak ka shukar ada karty hue kaha k itna hum zarur karaingay k teray pass pani aur mitti phunchatay rahain.
Tau ab jahan bhi ye keera hota hai tau wahan usko pani aur mitti mil jati hai.
Aur aap ne daikha hoga k gharoun/ hoses me lakri/wood k bech me darzoun me mitti hoti hai. Tau ye shetaan hi unka shukar ada karny k lye provide krty hain.
Hazrat Suleman 52 years zinda rahay.
Aap ki sultanat 20 ya 40 years rahi. Walla’alam.
Aap ne apni sultanat k 4th year me Bait-ul-Muqaddas ki bunyad rakhi.
Suleman k baad unka beta “Jisa’am” 17 years badshah raha.
Us k baad Bani Isra’ael ki Sultanat parah parah hogae
0 Comments