Hazrat Dawood A.S ki age
3:38 AM
Hazrat Adam A.S k qissay me Adam ki takhleeq/ creation k baray me guzar chuka hai k Allah ne Adam ki pusht (back) se aap ki sari aulad ko nikala, tau Hazrat Adam ne Anmbiyah ko bhi un me daikha.
Aur aik Nabi ko daikha, jo chamak rahy thay. Tau Allah se pucha k ye kon hai??
Tau jawab aya: ye tera beta Dawood hai.
Adam: is ki umar kitni hai??
Allah: 60 saal
Adam: Parwardigaar, is ki umar me izafa kar dain.
Allah: Aisa nahi ho skta hai!! Haan kaho tau tumhari umar me se Dawood ko Main kuch day doun?? (Hazrat Adam ki age 1000 years thi)
Tau Adam A.S ne 40 years apnay betay Dawood ko de dye.
Phir jab Adam A.S k pass maut ka farishta aya tau aap ne farmaya, ‘abhi tau meri umar se 40 saal baqi hain…’
Tau Hazrat Adam bhool gae thay … (isi wajah se aulad-e-Adam means hum log ‘Bhooltay’ hain)
Tau Allah Ta’ala ne Adam A.s ko bhi puray 1000 saal de dye, aur Hazrat Dawood ko bhi puray 100 saal ata’a farma dye.
(ye hades bht se books me aye hai, aur sahi hai…)
0 Comments