Hazrat Dawood A.S ki khasiyat/ Quality: (his Voice)
4:11 AM
Hazrat Dawood A.S ko ibadat me quwat/ strength aur Islam me samjh boojh ata'a farmai gae thi.
Hazoor Pak (PBUH) ka irshad hai:
Allah k nazdeek sab se pasandedah namaz aur rozah Hazrat Dawood k hain. Nisf shab (half of the night) sotay phir 1/3 raat Bargah-e-khudawandi me kharay rehtay, phir 1/6 hissa dobara so jatay. aur aik din roza rakhtay aur aik din na rakhtay. aur jab dushman se samna hota,, tau kabhi rah-e-farar ikhtiyar na kartay....
Aur different jagah me mountains aur birds k ta'abey (obedient) honay ka jo zikr hai, iska matlab hai subah o sham ye aap k sath tasbeeh karty thay.
Allah ne aap ko aisi sureli aur ounchi/ loud awaz ata'a farmai thi jo kisi ko nahi mili. Birds, jin aur wehshi janwar tak bhi aap k aaspaas jama ho jatay aur aap ki awaz k jadoo me aisy kho jatay k waheen bhook o piyas se marr jatay. aur nehrain/ lakes bhi aap ki awaz sunn kar thehar jati theen.
Riwayat hai k Dawood 'Sarangi' (musical instrument) wagera bajatay aur phir tilawat kartay aur phir awaz goonjti (echo)... aur khud bhi rotay aur dosroun ko bhi rulatay.
Hazoor-e-pak pBUH ne farmaya:
"Dawood per qira'at (recitation) ko asan o halka kar dya gya tha.. Wo apnay janwar per 'zen' kasnay ka hukm farmatay (tie the cover), is se pehlay k Zen charhai jati, aap tilawat-e-kitabfarma laitay thay. aur aap sirf apnay hath ki kamai khatay thay.."
Riwayat hai k, ye apka Mujazah/ miracle tha k bawajod intahai Sureeli awaz aur umdah tarannum wali awaz k, is qadar jald parh lya karty thay.
Farman-e-Ilahi hai k, "Hum ne Dawood ko Zuboor di..."
0 Comments