Hazrat Dawood A.S ki wafat/ death ka zikr
3:42 AM
Hazrat Dawood A.S me bht sakht ghairat o haya thi.
Aap jab bahar Jatay tau bahar se darwazay band kar jatay aur koi aap k anay tak enter na ho skta tha.
Tau aik baar aap ki bewi ne achanak sehan/ courtyard k bech me kisi ko kharay paya, tau usko kehnay lagi , Allah ki qasam hum ko Dawood ruswa kar daingay…
Itnay me Dawood A.s wapis agae. Pucha, “Tu kon hai??”
Us shakhs ne kaha,
‘main wo houn jo badshahoun/ kings se nahi darta aur rukawat’ain mujhay anay se nahi rok sakti..’
Tau Dawood foran bolay,
‘phir tau Allah ki qasam aap mulkul maut ho,.. Allah k farman (maut) ko marhaba ho…’
Phir kuch thehray aur rooh qabz hogae.
Jab ghusal o kafan aur dosray mamlaat se farigh hue tau sooraj /sun apni tapish dalnay laga.
Tau Hazrat Suleman ne birds ko farmaya: ‘Dawood per saya’fagan hojao..’
Tau birds ne Dawood A.S ki naash Mubarak per saya kar lya. Hatta k raat ne andhera kar dya. Tau phir Suleman ne birds ko farmaya k apnay parr samet lo.
Abu Hurerah farmatay hain k Hazoor Pak SAWW humay sath sath isharoun se samjha rahay thay k kaisay parindoun ne parr phelaye aur kaisay sametay.
Aur wo birds baray baray parr’oun walay Ba’az (falcons) thay.
0 Comments