­
PAIGHAM 786: Hazrat Dawood ki death per logoun ka dukh:

Hazrat Dawood ki death per logoun ka dukh:

3:34 AM

Awam-ul-naas (log) Hazrat Dawood A.S k janazay me shareek hue aur dhoop me beth gae. Sirf 40,000 ulma’a Bani Isra’ael thay. General public us k elawa thay. Bani Isra’ael me Hazrat Musa O Haroon ki wafat k baad ab tak is qadar dukh o gham ksi ki wafat per na hua tha. Phir logoun ko garmi o dhoop ne pareshan kia tau Hazrat Suleman se shikwah kia k koi garmi se bachao ki tadbeer karain. Tau Hazrat Suleman niklay aur birds ko awaz di tau birds jama hogae. Phir aap ne un ko logoun per saya karnay ka hukm farmaya. Tau tamam birds logoun per saya’fagan hogae. Aur log aik dosray se chimtay bethay thay (tightly packed with eachother) aur surat kuch aisi hogae thi k birds ouper thay jis se hawa ruk gae. Tau Bani Isra’ael ne phir shikwa kia tau Suleman A.s ne birds ko hukm farmaya k hawa k rukh / direction se cha’aoun / saya na karain, bulkay suraj ki traf saya dalain. Tau birds ne foran hukm ki ta’ameel ki. Aur phir tamam log saye aur hawa me hogae. Tau ye pehli nishani aur daleel thi jo logoun ne Hazrat Suleman A.S ki badshahi k mutaliq daikhi…

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *