Hazrat Suleman A.S ka qissa: (Chirya ka qissa)
7:56 PM
Hazrat Suleman A.S Hazrat Dawood k betay thay. Aur Dawood A.S k baad Nabuwat aur Sultanat me waris hue.
Allah ka farman hua hai:
“Ae logo, humay parindoun ki boli sikhai gae hai aur her cheez sikhai gae hai. Aur (her) cheez inayat ki gae hai..”
Means Hazrat Suleman tamam birds ki boli’an samjhtay aur jantay thay aur logoun ko inka matlab o translation bhi batatay thay.
Ai dafa Suleman A.S aik ‘Chiray” (male sparrow) k pass se guzray jo ‘Chirya’ k aas pass mandla raha tha. Tau aap ne apnay ashaab se farmaya, ‘kia tumhay maloom hai ye kia keh raha hai?’
Logoun ne arz kia, Ae Allah k Nabi aap farmaye ye kia keh raha hai…
Suleman ne farmaya: ye chirya ko apny se shadi (qareeb honay) ki dawat de raha hai aur keh raha hai k mere sath shadi karlo tau me tumhay (chirya) ko ‘Damishq’ (Damascus) k jis Bala-khanay me chaho gi, reha’aish dilwaounga..
Phir Suleman A.s ne farmaya, kioun k Damishq k Bala-khanay pathar k banay hue hain aur un me koi nahi reh skta bulkay her aisi baat kehnay wala kazzab /jhoota hota hai. (tau goya chira bhi dhoka de kar chirya ko attract kar raha tha.)
Isi trah dosray haiwanat/ janwar aur her qisam ki makhloq k sath aap ka ye haal tha, aur is per daleel ye Farman-e-Ilahi hai, Hazrat Suleman ne farmaya:
“(aur hum ko her cheez ata’a ki gae hai) means puri dunya k badshahi ki job hi zarurat ho skti hai, lashkar-e-saman, jin-o-ins ki jama’at, parind-o-charind, wehshi janwaroun ki jama’at, aur un k mutaliq tamam uloom aur ta’abeera’at aur un k sath hum-kalam honay ki tamam zubanain, al-gharz sab kuch ata’a kar dya gya tha…. “
0 Comments