­
PAIGHAM 786: Hazrat Suleman ka urnay wala takht: (flying carpet)

Hazrat Suleman ka urnay wala takht: (flying carpet)

7:53 PM

Hazrat Suleman A.S apnay shahi takht se 40 din ghaib rahay thay. Aur jab wapis aye tau 'Bait-ul-Muqaddas' ki ta'ameer ka hukm farmaya tha. Tau phir us ki intahai mazboot ta'ameer ki gae. Pehlay jis Prophet ne Bait-ul-Muqaddas ki ta'ameer ki thi wo Hazrat Yaqoub A.S (Hazrat Isra'ael) thay. Aur jab Suleman A.S ne Allah ki raza k lye horses ko chorra tau Allah ne us se zyada taiz raftaar cheez, means 'Hawa" ko un k tabe'e (under) kar dya. Means ksi bhi shehar ka irada karty tau aap ka aik takht tha jo wood ka bana hua tha, aur wo aisa ajeeb o azeem takht tha k Suleman jo samaan bhi chahtay, even k buildings, palaces/ mehal, tents aur dosra samaan, insan horses jin, birds, ainmals, sab kuch utha kar hawa me raftaar se urta tha. phir ksi safar ya sair ya jung ka irada hota , beshak wo kitna hi dour area ho, aap hawa ko hukm daitay. Phir hawa us takht ko zameen aur aasman k bech me lay jati. Tau phir aap (Rikha'a) narm/soft hawa ko hukm daitay tau wo aap k takht ko dheeray dheeray lay kar urti. Aur agar aap ko taizi se safar karna hota tau (A'asifa) taiz hawa ko hukm karty. phir wo aap k takht ko intahai taizi se urati. Farman-e-Ilahi hai: " Aur (Hum ne) hawa ko Suleman ka tabe'e kardya tha. Us ki subah ki manzil aik maheenay ki raah hoti aur sham ki manzil bhi maheenay bhar ki hoti. Aur un k lye Hum ne 'ta'anbay' (copper) ka chashma baha dya tha. aur jinoun me se aisay thay jo apnay Rab k hukm se un k agay kaam karty thay. Aur jo koi un me se Hamaray hukm se phiray ga, us ko Hum (jahannum ki) aag ka maza chakhaingay (taste) ... " (Surah Saba 12)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *