­
PAIGHAM 786: Hazrat Suleman ki wafat ka zikr

Hazrat Suleman ki wafat ka zikr

9:27 PM

Riwayat hai k Bait-ul-Muqaddas me Suleman A.S jab namaz ada karty tau samnay aik darkht uga hua daikhtay. Suleman us se puchtay, tera naam kia hai? Wo kehta fla’a.. aap puchtay, tu kis faiday k lye hai?? Nasal barhanay k lye ya ksi dawa k lye?? Tau aik baar aap namaz ada kar rahy thay k aap ne aik darkht samny daikha, tau pucha tera naam kia hai? Tree ne kaha: “Kharoob” .. Suleman ne pucha kis cheez k lye hai tu? Arz kia, is ghar (Bait ul Muqaddas) ki kharabi o werani k lye.. (means aap ko ishara kia k aap ki wafat qareeb hai) . Tau Suleman ne dua ki k , Ae Allah saal bhar tak jinoun se meri maut ko mukhfi (chupa) rakhna, ta k insan jaan lain k jin ghaib kai lm nahi jantay. Phir Suleman A.S ne us darkht ki lakri ki asa’a/ stick banai aur dobara ‘mehrab’ me enter hogae. Aur apnay asa’a Mubarak k sath taik laga kar namaz me masroof hogae. Aur isi halat me kharay kharay wafat hogae. Aur halat aisi rahi k shayateen o jin ko aap ki wafat ka bikul ilm nahi ho saka. Aur jin o deuo sab k sab pehlay ki trah apnay apnay kaam me masroof rahay k kahin Suleman nikal kar saza na dain. Kuch shetan/ devil jin is duran aap ki mehrab k qareeb jama ho jatay aur mehrab me agay peechay bhi windows theen. Aur shetan tau shetan hotay hain. Ye aik traf se enter hotay aur dosri traf se nikal jatay. Agar ksi ki nazar Suleman per par jati tau wo jal kar raakh bhi ho jata, magar phir bhi baaz na atay thay. Continue..

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *