Hudhud aur Malika Bilqees ka qissah
9:38 PM
Hazrat Suleman k darbar me tamam birds wagera bhi hazir hotay thay. Kbahi ksi parinday ki bari hai tau kabhi ksi parinday ki. Aur hudhud ka kaam aap k yahan ye tha k aap kabhi safar per hotay aur jungle me pani ki zarurat paish aati tau aik hudhud ko pani ki talash k lye bhejtay, jis ko Allah ne ability ata’a farmai thi k wo pani ko zameen k nechay honay k bawajod jaan laita tha.
Tau phir ye bird Suleman A.S ko bata daita aur log wahan khod kar pani talash kar laitay.
Tau isi trah aik din Suleman A.S ne hudhud ko bulwaya tau wo mojod na tha, apni khidmat ki jagah per na mila.
Tau Suleman kehnay lagay, kia hua? Mujhay hudhud kioun nazar nahi araha. Agar mojod nahi hai tau main usko sakht saza dounga. Main usay zibah kar dalounga.
Abhi kuch he dair hue thi k hudhud agaya aur kehnay laga, ‘mujahy aisi cheez maloom hue hai jis ki aap ko khabar nahi. Main ne aap k pass shehar “Saba” me aurat daikhi hai, jo wahan ki sultanat per badshahat karti hai. Aur her cheez us k paas hai. Uska aik bht hi shandaar aur azeem ‘takht’ hai, jo qisam qisam k diamonds, beads sonay aur chandi se bana hua hai. Us aurat ka naam ‘Bilqees’ hai. Us ki qaum khuda ko chor kar suraj ko sajdah kartay hain. Wo shetan k behkaway ki wajah se seedhay rastay per nahi atay…”
Hazrat Suleman ne kaha,
“(acha) hum teray sach aur jhoot ka pata chalatay hain. Ye mera khat /letter lay ja aur issay un ki traf daal de aur phir un k pass se wapis aja. Aur daikh k wo kia jawab daitay hain..”
Tau Hudhud letter le kar Malika Bilqees k pass phuncha aur letter us k samnay daal kar peechay hat kar daikhnay laga k uska reaction kia hota hai, aur wo kia jawab daiti hai.
0 Comments