Jin ka Bilqees ka Takht laiker ana: (Bilqees ka Suleman k Mehal me ana)

9:18 PM

Bilqees ka apnay Mehal me anay ka suna tau Suleman A.S ne jin’oun se kaha k is se pehlay k Bilqees hamaray pass ayen, Malika ka takht mere pass lay aao. Jinnat me se aik “Deuo” /jin ne kaha k is se pehlay k aap apni jagah se uthain, main takht lay ata houn. Dosray jin ne kaha k aap ki aankh jhapknay se pehlay aap k pass takht hazir kye deta houn. Jab aglay hi lamhay Suleman A.S ne apnay pass takht rakhay hue daikha tau Allah ki naimat’oun aur fazal ka shukar ada kia. (Subhan’Allah) Aur kaha k takht k heeray moti wagera change kar k iski surat badal do, phir daikhtay hain k Bilqees ki aqal is takht ko pehchan pati hai k nahi. Aur Bilqees k anay se pehlay Hazrat Suleman ne aik building/ Mehal bananay ka hukm farmaya tha jo aisa sheeshay /glass ka ho, jis me pani chalta ho aur chatt/cieling sheeshay ki ho. Neechay pani behta ho aur pani me fishes aur dosray water animals houn. Aur jab ye mehal tayyar hogya tau phir Bilqees ki amad per Suleman ne usko Mehal me enter honay ka hukm dya. Aur Suleman A.S pehlay se us Mehal me apnay shahi Takht per jalwa-afroz thay aur neechay, sheeshay k neechay se pani aisi aab-o-taab k sath beh raha tha k sheesha bech me nazar hi nahi ata tha. Tau phir is k baray me Allah ka farman hai k Bilqees ne phir us ko daikha tau usko pani ka ‘Hozz’/ pond samjha aur (kapra utha kar) apni pind’liyan / legs khol di. Hazrat Suleman ne kaha, “ye aisa Mehal hai jis k (neechay bhi) sheeshay jaray hue hain” Tau Bilqees bol uthi,, “Parwardigar, (main apnay aap per zulm karti rahi thi aur ab) main Suleman k hath per Khuda-e-Rabul’aalamin per eman laati houn… “

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *