­
PAIGHAM 786: Jin’oun ka Suleman k Taab’e (under) hona

Jin’oun ka Suleman k Taab’e (under) hona

7:49 PM

Allah Ta’ala ne Suleman A.S k lye aisay jin taab’e (under) kar rakhay thay, jo aap ki ata’at karty aur kaha mantay thay. Bulkay jo hukm jis kaam ka milta, uski ta’ameel karty. Aur agar koi sarkashi karta, tau phir Hazrat Suleman usko saza daitay aur zaleel o ruswa karty. (Jin un k lye buildings wagera jo chahtay banatay) Ye Jin khoobsurat makan aur sadar maqam banatay thay. (aur statues) ye walls me kured kured kar kar images banai jati theen. (carving) aur un ki sharia’at me is ki gunjaish thi. Aur baray baray tub ‘talaboun/ pond’ ki trah,.. Hoz wagera. Aur aik hi jagah rehnay wali bari bari ‘daigain” (for cooking). Ye is qadar bari hoti theen k jahan banai jati thi wahan se hil nahi sakti thin. Aur ye sab Allah ne Suleman A.s ko makhloq-e-Ilahiinsan o haiwan per ehsan o ina’am krny k lye dya tha. Phir is k mutaliq shukar ka hukm hua, agay farmaya: “Ar aal-e-Dawood, shukr karo aur Mere bht thoray banday shukr karty hain.” Aur jinoun k mutaliq farmaya: “Aur Shayateen/ devils ko, jo mazdoor aur ghota-khor/divers thay aur kuch beri’oun me bandhay hue thay..” Means kuch jin Suleman ko constructions ka kaam kar k daitay thay, aur kuch pani me se diamonds and moti wagera nikaltay thay. Aur kuch apni na-farmani ki wajha se bandhay hue thay. Al-gharz Allah Ta’ala ne Suleman ko taskheer-e-Kainat ki aisi aisi cheezoun se nawaza tha jo aap k baad ksi aur Badshah ko nahi ata’a huen. Hazrat Abu Hurerah se marwi hai, Rasool Allah (pbuh) ne farmaya: “Aik afriyat Jin ne last night mujhay namaz me tang kia, ta k meri namaz kharab karwa de. Tau Allah ne mujhay us per qudrat de di tau main ne irada kia k us ko Masjid k satoon/ pillar se bandh doun ta k tum sab usko daikh sako. Phir mujhay apnay bhai Suleman ki dua yaad agae k Parwardigar meri maghfirat farma aur mujhay aisi Badshahat de jo mere baad ksi ko munasib na ho. Tau is wajah se main ne usko zaleel o ruswa kar k chorr dya… “

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *