Hazrat Ilyas ka qissah
8:14 AM
Hazrat Ilyas ka zikr Musa O Haroon A.S k zamanay k baad ata hai.
Ilyas A.S bi Prophets me se thay. Unho ne bhi apni qaum ko Allah ki ibadat ki traf bulaya aur samjhaya k but'oun /idols ki ibadat chorr do aur unka but/idol "Ba'al" naam ka tha.
Kafir aap k against hogae, hatta k aap k qatal ki thaan li.Us waqt ka king bhi Ilyas k khilaf tha.
Kaha jata hai k phir Ilyas un se bach k kar bhagay aur chupp gae. aur ja kar aik ghaar/cave me rahay, jo k zameen k andar tha. 10 saal ka arsa us hi me guzar dya.
Phir Allah ne us Badshah ko halak kar dya.
Dosra king takht-nasheen hua tau Ilyas A.S us k paas tashreef laye aur Islam ki dawat di , aur us badshah samet puri qaum Muslim hogae. Sirf 10,000 log baqi reh gae.Un ko qatal kar dya gya.
Aik qaul k mutabiq 4 Anbiyah / prophets zinda hain.
2 zameen me, wo Ilyas aur Khizr hain. aur 2 aasman me, Idrees aur Esa A.S. Wallah'alam. (Is qaul me nazar / doubt hai)
0 Comments