­
PAIGHAM 786: Hazrat Khizr A.S ki 2nd shadi

Hazrat Khizr A.S ki 2nd shadi

5:47 PM


First wife ko talaq dilwanay k baad Khizr k walid ne un ki dosri shadi kara di.
Is aurat se pehlay aulad bhi ho chuki thi (means first husband se).
Tau Khizr ne jab us k sath raat basar ki tau usko bhi wo hi batain kahin jo pehli wali ko kahi theen. Is dosri aurat ne bhi Khizr k sath rehnay ki khuwahish ki. Phir saal beet gya.
Badshah ne is sy bhi aulad ka sawal kia, tau aurat ne kaha k aap k betay ko aurtoun ki khuwahish nahi hai.
Tau Walid ne Khizr ko bulaya, tau wo bhaag gae.
Pehli wali larki, jisko Khizr ne talaq di thi, us se aik admi ne shadi karli aur unki aulad bhi hogae. Phir qudrat se ye larki Fir'oun ki beti ki maid ban gae, aur us k baloun me kanghi (comb) krny ki duty start ki.
Aik bar comb karty hue, comb us k hath se gira tau us ki zaban se "Bismillah" nikal gya. Fir'oun ki beti foran boli, kia mera baap???
Farmaya, Nahi, mera Rab, tera Rab aur teray baap ka Rab bhi Allah hai...
Larki ne foran baap ko inform kia, Fir'oun ne hukm dya k peetal ki aag tayyar ki jae aur us me aurat ko koud janay ka hukm dya. Aurat aag ki wehshat-naki daikh kar ghabra gae, laiken Khuda ki qudrat, uska chota doodh peeta bacha bol utha, Amma jan sabr kijiye, kioun k aap Haq per hain. Tau phir aurat ne khud ko aag k hawalay kar dya.
Rasool Allah (SAWW) ne farmaya: Aap ka naam Khizr is wajah se para k aap aik khushk/ Dry white grass per bethay tau wo aap k baad sar-sabz shadab lehlahanay lagi.
Riwayat hai k Khizr ko Khizr islye kaha jata hai, un k chehray ki tazgi aur husn o chamak ki wajha se.
Allah Ta'ala ne un ko Nabu'wat se nawaza tha. Un k paas bhe Wahi phunchti thi.


You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *