Kia Ab B Khizar Alihesalam Zinda Hai

5:41 PM

Riwayat hai k Khizr ab tak baqi hain. Kaha jata hai k unho ne ‘Toofan-e-Nooh’ k baad Adam A.S ko dafan farmaya tha. Islye unko walid ki dua k tufail lambi zindage mili.
Aik qaul hai k unho ne “Aab-e-Hayat” nosh farmaya tha…
Jab Musa A.S Khizr se juda honay lagay tau farmaya k mujhay kuch nasihat o wasiht farmaye.
Khizr ne kaha: “ Nafa’a-rasa’ ban “zarar-rasa” na ban (means be helpful rather be harmful), khush raha kar, ghussay me mat raha kar. Lajajat o khush-amdi ko chor de aur baghair maqsad (na safar kar) na chal...”
Jab Rasool Pak SAWW ki wafat hue tu ashab-e-Rasool ne aap ko gheray me lay lia aura ah-o-zari me masroof hogae.
Itnay me aik shakhs chamakti darhi/ beard, bharay jism walay, khoobsurat shakal walay agae aur ashab ko phalangtay /cross karty hue agay barhay aur wo bhi aah-o-zari karnay lagay.
Phir ashab ki taraf focused hue aur farmaya,
“Allah k haan har faut-shuda (dead) cheez ka samrah aur badla hai aur her janay walay k baad dosra hai. Pus Allah ki traf ruj’u karo… “
Phir wo shakhs chala gya.
Ashab apas me kehnay lagay, kia tum isko jantay ho? Kon tha?
Tau Hazrat Abu Bakr R.A aur Hazrat Ali R.A ne farmaya, “ji haan, wo Rasool Allah SAWW k bhai Khizr thay..”
Kaha gya hai k Khizr ki wafat me muhlat day di gae hai. Hatta k wo kazzab Dajjal ki bhi takzeeb farmayengay. Menas Dajjal k samnay bhi houngay.
Is baat se pata chalta hai k Khizr ab bhi hain. Wallah’alam



You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *