­
PAIGHAM 786: Murdoun /deads ka dobara zinda hona: (Hazqel A.S)

Murdoun /deads ka dobara zinda hona: (Hazqel A.S)

11:44 AM


Farishtoun/ Angels ki cheekh se jab jism (roohoun se) khali hogae, tau ail Paighamber/Prophet Hazrat Hazqel A.S ka un k paas se guzar hua.
Aur aap ne unki ye ajeeb surat-e-haal daikhi tau intahai fikr o hairat k alam me kharay hogae aur apnay jabray/jaws dabanay lagay aur ungliyan aik dosray hath me daiker pareshan surat me ghor farmanay lagay.
Tau Allah ne un ki halat daikh kar Wahi farmai.
“Kia aap chahtay hain k Main aap ko dikhlaoun k Main in ko kaisay zinda karounga? “
Hazqel ne arz kia: Ji haan bilkul. (actualy Hazqel us waqt ghor o fikr k alam me thay k Qudrat e Ilahi in ko kaisay dobara zindah farmayegi)
Hazqel ko hukm mila k inko awaz do….
Hazqel A.S ne awaz di:
“Ae (boseedah) Hadyoun/bones, Allah tumhay hukm fermata hai k gosht pehan lo…”
Tau Hadyan/ bones gosht se purr/fill honay lageen aur jismoun me khoon dornay laga.
Aur phir wohi libas bhi khud ba khud zeb-e-tan hogae, jin me wo maray thay.
Hazqel ko phir pukarnay ka hukm mila tau unho ne pukara,

“Ae jismoun, Allah tumhay kharay hojanay ka hukm fermata hai..”

Tau wo log kharay hogae. Jab wo zinda hue tau unho ne ye alfaz kahay thay:
“Ae Allah, Teri Zaat pak hai aur hum Teri hi tareef karty hain. Aap k siwa koi Ma’abod nahi…”
Phir wo log zinda ho kar apni qaum k paas wapis phunchay, jo in ko murda samjhy hue thay. Aur maut ki zardi in k chehroun per bhi barqarar thi.
Nabi Akram SAWW ne farmaya:

“K ye bemari jis k sath tum se pehli ummatoun ko azab dya gya. Lehaza jab tum ksi zameen k mutaliq suno k us me ye bemari hai, tau wahan enter mat hona.
Aur jab kisi zameen me ye waba ajae aur tum wahan mojoud ho, tau wahan se bhaag kar mat niklo…”

Hazqel aik arsay Bani Isra’ael me thehray. Phir Allah ne un ko apnay paas bula lya. Jab ye uth gae tau Bani Isra’ael Allah k waday ko bhula bethay aur nye nye cheezain un me paida honay lageen.
Hatta k butoun /idols ki ibadat me mubtala honay lagay.
See Translatio


You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *