­
PAIGHAM 786: Mysterious Personality Hazrat Khizr A.S ka zikr

Mysterious Personality Hazrat Khizr A.S ka zikr

6:02 PM


Kaha jata hai k aulad-e-Adam me sab se zyada age walay Hazrat Khizr hain. Aur in ka Naam-e-garami "Khizr'oun Bin Qabeel bin Adam" hai.
Ye bhi kaha jata hai k 'Khizr bin Adam' hain, means aen Adam A.S ki back se paida hue thay. Wallah'alam
Jab Adam A.S ki wafat ka waqt qareeb aya tau aap ne apni aulad ko khabar di k aik Toofan/ flood ayega (means Toofan-e-Nooh) aur unko hukm dya k jab wo toofan aye tau tum kashti /Ark me mere jism/ body ko bhi sath lay laina, aur jahan utro, wahan mujhay dafan karna.
Hazrat Nooh ne apnay betoun ko hukm farmaya k Baba Adam k jasd-e-khaki ko jahan utro , wahan dafan karna.
Hazrat Adam ne dua farmai thi k unko jo dafan karega wo sab se zyada age wala ho. Tau Khizr A.S ne unko dafnanay ki responsibility uthai aur Allah ne un k waday ko pura farmaya. Tau wo jab tak bhi Allah chahay, zinda hain.
Buht se prophets k time me Hazrat Khizr ki presence ka zikr hai. Ye bhi kaha jata hai k Khizr Hazrat Ilyas A.S k bhai hain aur in k father aik king thay.
Aik bar Ilyas A.S ne apnay walid se kaha k mera bhai Khizr 'Badshahi' me interest nahi laita, tau aap un ki shadi kardain.
Tau un k father ne aik haseen larki se Khizr ki shadi kardi.
Khizr ne us larki se kaha, k mujhay aurtoun ki hajat nahi hai, pus agar tum chaho tau mere sath reh kar Allah ki ibadat karo aur mere raaz per pardah-poshi karti rehna. Tau Larki ne kaha k thek hai, aur sath rehnay lagi.
Hatta k 1 year ka arsa guzar gya.
Phir Badshah ne larki se aulad k baray me sawal kia. Larki ne arz kia k aulad tau Allah ki traf se hoti hai. Agar Wo chahay tau ho jae, na chahay tau na ho. (beshak)
Badshah ne Khizr ko hukm dya k is larki ko talaq daido.


You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *