­
PAIGHAM 786: Allah Ta'ala ka Uzair A.S ko 100 years baad dobara zinda karna

Allah Ta'ala ka Uzair A.S ko 100 years baad dobara zinda karna

6:48 PM

Hazrat Uzair ko maut ki nend sotay hue 100 saal guzar gae. Is duran Bani Isra'ael me bht se waqia'at o hadsaat hue tau Allah ne aik farishtay ko Uzair k paas bheja. Farishtay ne Allah k hukm se aap k dil ko banaya, jo soch samjh k qabil hogya. Phir aankhoun ko bnaya jo daikhny k la'aiq hogaen, k aankhoun se daikh kar dil se samjh lain k kaisay Allah murdoun/ deads ko zinda farmayengay (because aap ny Allah se is k mutaliq sawal kia tha). Phir takhleeq/ creation start hue aur aap sath sath daikhty aur samjhtay ja rahy thay. Pehlay unki hadyoun /bones per gosht charha, phir baal ubhray aur khaal (skin) namodar hue, phir unme rooh phoonk di gae. Aap tamam manzir ko ba-khobi daikh rahy thay. Phir aap seedhay ho kr beth gae. Farisay ne pucha, kitna arsa soye? Farmaya, aik din, ya din ka kuch hissa (because aap din k start me aram ko laitay thay, aur ab sun set ho raha tha), tau farishtay ne kaha, Nahi bulkay aap 100 saal tak sotay rahy hain. Aap apna khana pani daikhye. Abhi tak dry roti dry thi. Angoor ka sheera, injeer aur angoor apni apni halat per barqarar thay. Phir aap k dil me is muddat k inkar ka khayal paida hua tau farishtay ny kaha, aap meri baat ko ghalat samjh rahy hain? Apny gadhay /donkey ki traf daikh lijiye. Daikha tau aap k gadhay ki hadyaan tak boseedah ho chuki thi aur bilkul banjar ho chuki thi. Tau farishtay ny hadyoun ko hukm dya aur wo har traf se jama ho kar uth uth kar aik jagah ikatha/ gather hogaen aur jur gaen. Aur Uzair daikhty rahy. Phir un per ragain/ veins charhi aur pathay (muscles) banay, phir gosht charha, phir un per skin aur baal tak aye. Phir farishtay ne us me phoonk mari tau gadha aasman ki traf apna sir aur kaan uthaye awazain nikalta hua khara hogya. Us ka khayal tha k shayad qayamat qa'aim ho chuki hai.... Subhan'Allah

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *