­
PAIGHAM 786: Hazrat Daniyal ki wafat aur unki secret tadfeen

Hazrat Daniyal ki wafat aur unki secret tadfeen

3:31 PM

Hazrat Daniyal ki wafat Hazrat Muhammad SAWW k zamanay se 800 saal pehlay hue.Daniyal A.S ki naak/ nose ki lambai aik balisht / aik hath thi, jis se doubt hota hai k wo bht pehlay k Prophets me se houn.Rasool Allah SAWW ne farmaya k Daniyal A.S ne apnay Parwardigar se dua ki k un ko 'ummat-e-Muhammadiya' dafnaye.Hazrat Daniyal ko aik taboot/ coffin me paya gya.Un ki ragain/ veins aur masaam/ glands apni halat per sahi barqarar thay. (kioun k Anbiyah ki bodies ko zameen boseedah nahi kar skti aur na un ko janwar khaa sktay hain.)Daniyal A.S k sath aik matka tha, jis me charbi thi aur darham aur angothi/ ring paye gae. ( finger ring me 2 lions banay hue thay jin k bech aik admi hai, aur donolions usko pyar se chaat rahay hain)Hazrat Umar R.A ne hukm dya k Daniyal A.S ki mayyat/ dead body ko pani aur berry k leaves se ghusal dya jae, phir kafan pehna kar aesi trah dafnaya jae k ksi ko un ki qabar k baray me ilm na ho.Abu Musa Ashari R.A ne 4 qaidi'oun/ prisoners ko hukm farmaya tau unho ne aik nehar/ lake k pani ko roka aur koi band /barrier laga kar lake me bechoun bech qaabar khodi. Abu Musa Ashari ne wahan Daniyal ko dafan karwaya, aur dafnanay walay yhi 4 log thay.Jab ye wapis aye tau aap ne un ki gardan uraa di (koiun k wo waisy bhi kafir qaidi thay, is lye unka qatal karna sahi tha) .Tau us trah ye azeem raaz sirf aur sirf Abu Musa Ashari k seenay me dafan hogya.(Hazrat Daniyal ki tadfeen ko secret islye rakha tha k log bid'at kartay thay, Jab aasman apna pani rok daita tha, means barish nahi hoti thi tau log unki dead body ko qabar se nikal kar rakh daitay thay, aur phir barish ho jati thi... Wallah A'alam)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *