­
PAIGHAM 786: Hazrat Dawood A.S k hath se Jaloot ka qatal

Hazrat Dawood A.S k hath se Jaloot ka qatal

6:54 PM

Hazrat Dawood A.S ‘Ghulail’ k sath bht taiz pathar wagera phaink’tay thay. Tau ye Jaloot k khilaf jung me Bani Isra’ael k sath chalay ja rahay thay k rastay me paray hue aik pathar ne Dawood ko awaz di k ‘mujhay lay le, kioun tu mere sath Jaloot ko qatal kar skta hai. ..’ Tau Dawood ne usko lay lia. Aur phir dosray pathar k sath bhi yhi majra paish aya, usay bhi lay lia. Phir 3rd pathar ko bhi isi trah lay lia. Aur teeno pathar apnay thailay me daal lye. Phir jung me dono dushman ki rows amnay samnay hogaen. Tau sab se pehlay Jaloot nikal kar samnay aya aur apna muqabil/opposite talab karny laga. Tau Dawood A.S agay phunchay. Jaloot ne kaha, tu tau wapis chala ja, main teray qatal ko pasand nahi krta. Hazrat Dawood A.S ne jawab dya k “magar main teray qatal ko pasand karta houn..” Phir aap ne teeno pathar lye aur unko ghulail ki trah se apnay hathyar/ weapon me rakh kar ghumaya tau wo teeno pathar aik hogae. Aur phir Jaloot ko mara tau uska sir phat gya aur wo marr gya. Aur uska lashkar haar kar bhaag para. Hazrat Taloot ne bhi waday k mutabiq apni beti ki shadi Dawood A.S se kara di aur apni sultanat me unka hukm jari kara dya. Is trah Bani Isra’ael me Dawood A.S ki izzat barh gae aur log ap ko pasand karny lagay. Riwayat hai k phir Taloot Dawood A.S per hasad karny laga, hatta k aap k qatal ki soch betha. Ulma’a usko roktay rahay magar us ne un ko bhi qatal kar dala, aur bus kuch hi reh gae. Phir Taloot ko Allah ne taubah ki taufeeq di . wo intahai nadim aur sharminda hua aur apnay kye hue per afsos kar k rota rehta .. Taloot k khuwab me Yusha A.S ne aker farmaya k ‘teri taubah ho skti hai agar tu sultanat se kinara kar lay(give up karlay) aur Allah ki raah me jihad karta hua mara ja. Phir Taloot ne sultanat ko Dawood k supurd kia aur khud apni sari aulad ko laiker chal dya. Aur raah-e-Khuda me larta raha, hatta k shaheed hogya. Aur us hi waqt k mutaliq Allah ka farman hai: “Aur Allah ne us (Dawood) ko mulk aur hikmat ata’a ki aur jo chaha, sikhaya…”

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *