Hazrat Dawood/ David A.S ka qissah
11:47 AM
Aap Allah k Prophet aur banday aur sar-zameen e Baitul Muqaddas me Allah k khalifa thay.
Riwayat hai k Dawood A.S kuch pasta qad (short heighted), blue eyes, thoray baal (less hairs) aur pakeezah o saaf suthray dil k malik thay.
Hazrat Dawood ne Jaloot ko qatal kia tau Bani Isra’ael Taloot k muqablay me aap ki traf attract hogae aur Bani Isra’ael per Badshah bana dye gae. Phir Allah ne unko Apnay pass se dosra azeem martabah ‘Nabu’wat’ ata’a kia .
Istrah dunya aur akhirat ki khairen/bhalai aap k pass jama hogaen. Jab k pehlay Nabu’wat aik khandan me aur Sultanat dosray khandan me chali arahi thi.
(means Nabu’wat Aal-e-Lawi bin Yaqoub A.S me thi aur Sultanat Yahuza bin Yaqoub me)
Farman-e-Ilahi hai:
“ Aur Hum ne Dawood ko Apni traf se bartari/ dominance bakhshi thi. Ae paharo/mountains un k sath tasbeeh karo aur parindoun/birds ko (uska musakhir kar dya) aur un k lye Hum ne lohay/iron ko narm kar dya k kushada/broad ‘Zarhain’ (armors) banao aur kari’oun ko andazay se joro aur naik amal karo, jo amal tum karty ho Main un ko daikhnay wala houn…” (Surah Saba 10, 11)
Dosri jagah farmaya:
“ Aur Hum ne paharoun ko Dawood k ta’abey kardya tha jo un k sath tasbeeh karty thay aur birds ko bhi. Aur Hum karny walay tha aur Hum ne un ko tumharay lye aik (trah ka) libas banana bhi sikha dya, ta k tum ko larai (k zarar) se bacah’ain. Pus tum ko shukar-guzar hona chahye..”
Allah ne Dawwod k lye lohay/iron ko narm/soft kar dya tha. Even wo baghair aag aur Bhatti k apnay hath k sath usko her trah morr/mold kar laitay thay.
Sab se pehlay insan jis ne ‘kari’oun’ ki intahai mazboot zirah/ armor banai, wo Dawood hain.
Aap din me aik zirah bana laity thay aur usko 600 darham ki sell kartay.
0 Comments