Hazrat Uzair A.S ka Qissa
6:56 PM
Hazrat Uzair A.S un logoun me se thay jin ko Bakht-e-Nasr ne qaid kia tha. Tab ye bachay thay. Jab 40 saal ki age ko phunchay tau Allah ne un ko Ilm o hikmat se nawaza.
Tauraat ko jannay aur hifz karny me un se koi agay na tha.
Aur kaha jata hai k unho ne apnay Rab se taqdeer k mutaliq sawal kia tau Allah ne Anbiyah ki list se un ka naam mita dya tha.. (Wallah-Alam)
Hazrat Uzair wohi shakhs hain, jiko Allah ne 100 years tak maray rakha, phir uthaya.
Hazrat Uzair baray dana aur naik shakhs thay. Aik din apni zameen ki traf niklay, wapsi me aik veeranay me thehar gae, kioun k garmi sakht thi.
Aap apny gadhay/ donkey pe sawar us veeranay me enter hue tau gadhay se utray, aur aap k sath khanay ka tokra tha, jis me Injeer aur angoor/ grapes thay.
Aap is veeran khandar me ruk gae, phir apnay sath mojod pyala nikala aur grapes us pe nichoray, phir dry roti nikali aur isko usme daal dya ta k kuch narm aur meethi hojae tau khaa lain.
Phir aap thori dair k lye seedhay lait gae.
Aap ki nazr chatt ki traf uthi tau daikha k ye khandar apny pillars pe khara hai aur is k rehnay walay marr khap gae hain. Jin ki boseedah hadyan bikhri pari hain. Tau aap ki zaban se be-sakhta nikla:
Translation: " Allah kaisay in ko maut k baad zindah farmayega..?"
Aap ko hargiz ye shak na tha k Allah inko zindah na farmayega. Bulkay us k tareekay O kefiyat per hairat karty hue farmaya tha k ye sab kaisay hoga...
Phir Allah Ta'ala ne Hazrat Jibra'ael ko un k paas bheja. Aap ne Uzair A.S ki rooh qabz karli.
Phir 100 years tak Allah ne un ko youn hi maut ki nend sulaye rakha.
Continue...
0 Comments