­
PAIGHAM 786: Hazrat Urmiya A.S ki Allah Ta’ala se Conversation

Hazrat Urmiya A.S ki Allah Ta’ala se Conversation

8:41 PM

Urmiya A.S ne farmaya: “ Ae Parwardigar, Aap pak hain. Hum Aap ki tasbeeh kartay hain aur Aap ba-barkat hain. Kia Aap is basti (Baitul Muqaddas) ko tehas nehas farma daingay? Jab k ye Aap k Anbiyah / Prophets ka maskan aur parao aur utarnay ka shehar/ city aur qabeela hai. Ae Pak Zaat.. kia Aap is ummat (Bani Isra’ael) ko tabah barbad farma daingay? Ye Aap ki mehboob shakhsiyat Hazrat Ibrahim A.S ki aulad hain aur Aap k hamraz o niyaz Hazrat Musa A.S ki ummat hain aur Aap k Paighambar Hazrat Dawood A.S ki qaum hain…” Jawab me Allah Ta’ala ne bhi Urmiya A.S se Bani Isra’ael k baray me shikwa kia aur kaha k ye qaum sudhar nahi saki. Main ne is qaum se be-panah muhabbat ki, magar is ne haq ada nahi kia. Hamesha bar bar na-farmani aur kufr ka rasta ikhtiyar kia. Is qaum ko tabah hona hi hai. . Urmiya A.S ne ye batain qaum ko batai tau unho ne bajae nasihat lainay k, Urmiya A.S ko pakar kar qaid khanay me band kar dya. Tab “Bakht-e-Nasr” ne Bani Isra’ael per hamla kardya aur sab kuch tabah o barbad karna shru kardya. Aur khoob tabahi machai. Hazaroun lakhoun logoun ko qaidi banaya. . Hazrat Urmiya A.S k baray me pata chalnay per Bakht e Nasr ne unko qaid se nikala aur acha salook kia. Aur sath chalnay ki offer ki, jo k unho ne mana kardi aur Baitul Muqaddas me hi rahay. Badshah ‘Bakht-e-Nasr’ k prisoners /qaidi’oun me Hazrat Danial A.S bhi thay, jin ko Bakht-e-Nasr apnay sath Babul lay aya tha.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *