­
PAIGHAM 786: Hazrat Urmiya bin Halqya A.S ka qissa

Hazrat Urmiya bin Halqya A.S ka qissa

8:40 PM

(Bait-ul-Muqaddas ki Virani ka zikr) Jab Allah Ta’ala ne Urmiya A.S ko Bani Isra’ael k paas bheja tau un me bida’at o gumrahi ka dor dora tha tha aur wo gunahoun me latpat thay. Anbiyah tak ko qatal karny me peechay na hat’tay thay. Tau jab un ki sarkashi had se barh gae tau Allah ne ‘Bakht-e-Nasr’ k dil me Bani Isra’ael per hamla karny ka khayal dala. Us k dil me Allah ne dala k wo un per Lashkar-kashi kary aur phir Allah un se inteqam lay. Tau phir Allah ne Hazrat Urmiya A.S ko Bani Isra’ael k lye wahi farmai: “ Main Bani Isra’ael ko halaak karny wala houn. Lehaza aap Bait-ul-Muqaddas ki chatan/ rock per kharay ho jaen. Meri wahi aur hukm aap ko phunchay ga…” Tau Urmiya A.S uthay aur (ranj o fikr) se apnay kapray phaar dalay aur apnay sir pe khaak dali aur sajday me gir paray. Allah Ta’ala ne farmaya: Apna sir uthao, Urmiya A.S ne sir uthaya aur Allah se pucha: “ Ae Parwardigar, Aap ne mujhay Bani Isra’ael ka aakhri nabi banaya, pus Bait-ul-Muqaddas aur Bani Isra’ael meri wajah se tabah ho rahay hain?? Ae Parwardigar, Aap un per kis ko musallat farmaingay??” Allah Ta’ala ne farmaya: “ Aag ki pooja karny waloun ko, jo Mere azab se dartay hain na Mujh se sawab ki umeed rakhtay hain. Pus, khara ho, aur badshah ko durst / correct raah dikhla aur us ki sahi rahnumai kar..” Tau Hazrat Urmiya A.S badshah ko samjhanay lagay aur wahi bhi utarti rahi. Hatta k burai’an khatam na huen aur shar o fasad barh gya.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *