Allah Ta'ala ka dastar khuwan ko wapis utha lena (Qisah Hazrat Esa A.S)

2:43 PM

Allah Ta'ala ka dastar khuwan ko wapis utha lena
.
Phir Esa ny unko khanay ka hukm dya tau kehnay lgay k tab tak na khaengay jab tak aap na khaa lain.
Tau akhir kar Hazrat Esa ne faqeeroun, muhtaaj, mareezoun, langray log ko hukm frmaya. Wo 1300 afraad thay. Un sab ne khana khaya. Aur Khuda k fazal se jisko jo beemari thi sab khatam hogae.
.
Wo dastar khuwan daily aik baar utarta tha aur log us se khatay thay. Akhri shakhs bhi us hi trah saaf aur sair ho kr khata tha jis trah pehla shakhs khata tha.
Hatta k 70,000 afrad us se khatay thay. Phir ye dastar khuwan ata raha.
... phir Allah ne Esa A.S ko hukm frmaya k is dastr khuwan ko faqeeroun aor maskeenoun tk rakho aur maal'daar logoun ko mana krdo.
Tau ye baat munafiqoun per bht sakht guzri aur is k mutaliq idher udhar batain ki.
Phir dastar khuwan ana bilkul band hogya. Aur jin logoun ny khilaf batain ki thi, wo khinzeeroun / pigs me tabdeel hogae.
.
Riwayat hai k Hazrat Muhammad SAWW ne farmaya:
..." dastar khuwan utra aur us me roti aur gosht tha. Aur un ko hukm mila k khiyanat na karain aur zakheera na karain aur kal k lye na utha rakhain.
Laiken unho ny khiyanat ki aur zakheera kia aur utha kr rakha, tau wo bandaroun aur souwaroun (monkeys n pigs) me change hogae.. "

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *