Birth Place of Hazrat Esa and his Childhood in Hindi "Roman Urdu

2:53 PM

Birth Place of Hazrat Esa and his Childhood
.
Hazrat Esa Bait-ul-Laham k qareeb paida hue.
Jab aap paida hue tau us din mashriq o maghrib me tamam 'butt"/ idols girr paray aur shetaan hairan o pareshan ho gae thay.
.
Hatta k baray Iblees ne apnay shetanoun ko haqeqat haal ki khabar di k Hazrat Esa ki birth ki wajha se aisa hua tha.
.
Phir Shetanoun ne daikha k Esa apni maa ki goud me hai aur angels un k gird hifazati hisaar qa'aem kye hue hain. Aur Aasman me us din aik azeem sitara bhi zahir hua tha. aur mulk Faris ka badshah bhi us sitaray ki wajah se khauf-zada hogya tha. Us k jadogaroun ne bataya tha k sar-zameen me koi azeem bacha paida hua hai.
.
Phir us badshah ne tohfay tahaif k bahanay us bachay ko qatal karanay k lye admi bhejay. Maryam ko khabar hogae tau wo apnay bachay ko laikar Egypt chali gaen. aur us waqt tak wahan rahin jab tak Esa 12 years k na hogae.
.
Esa A.S k karamaat-o-Mujizaat / miracles bachpan se hi mash'hor honay lagay thay.
Aik baar, jis baray admi k ghar Esa n Maryam thehray hue thay, uska maal gum hogya. Ghar me bht log thay, wo bara admi in sab ki kafalat karta tha.
.. Hazrat Esa ne aik andhay aur langray admi ko pakarwa dya, jinho ne waqae chori ki thi. phir un dono ne chori kia hua maal wapis kar dya.
.
Isi trah us baray admi ne aik baar logoun ki dawat ki. Khanay k baad us zamanay ki rasm k mutabiq sharab ka daur chalana chaha aur sharab k matkay kholay tau sab khali thay.
tamam log bht pareshan hue k sharab khatam kaisay hogae.
Phir Esa ko pata chala tau aap matkoun k paas phunchay aur sab k moun per hath phertay rahay tau matkay umdah aur pure sharab se bharr gae.
.
Ye maajra sunn k log Esa and Maryam k intahai mureed hogae.
Phir Maryam apnay pyaray betay ko laikar dobara Bait-ul-Muqaddas rawana hogaen.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *