Dastar khuwan ka qissa (Hazrat Esa A.s)

2:44 PM

Dastar khuwan ka qissa
.
Farman e Ilahi hai:
.
"Jab logoun ne kaha k Ae Esa bin Maryam kia tera Rab taqat rkhta hai k Wo hum per Aasman se aik khuwan nazil karay. (Tau Esa ne kaha) Allah se daro agar tum momin ho?
Kehny lgay hamara khayal hai k hum is se khaen aur hamary dil mutmain ho jaen aur hum jaan lain k aap ne sach farmaya aur hum is per gawah ho jaen.
Tau Esa ne dua ki, Ae Allah hamary Rab hum per Asman se khuwan nazil frma ta k wo hmaray awwal o akhir k lye khushi ho aur Aap ki traf se nishani ho, aur hum ko rizq ata'a farmaye aur Aap behtareen rizq ata'a krny walay hain.
Allah ne farmaya, Main usko tum per nazil karounga, phir us k baad jo tum me se kufr karega tau Main usko aesa azaab dounga k Main ne jahan waloun me se ksi ko bhi aesa azab na dya hoga... "
.. (Ma'aeda 112-115)
.
Hazrat Esa ne apny logoun ko 30 din rozay rkhnay ka hukm dya. Phir jb unho ne 30 din puray kr lye tau Esa ne dastar khuwan utarny ki request ki.
.
Phir Allah ne Aasman se dastar khuwan nazil frmaya. Aur sab log usko 2 badloun /clouds k bech me utarta dekh rhy thay aur ahista ahista qareeb ho rha tha.
Aur jab bhi dastar khuwan kuch agay barhta, hazrat Esa dua krty k Ae Allah isko rehmat bana, azab na bana, aur isko barkat o salamti wala bana.
..hatta k dastar khuwan aker Esa k samnay theher gya. Us per roomal dhaka hua tha. Esa kharay hue aur arz kr rhy thay:
.. "Bismillah khairrur Raziqeen.."
"Allah k naam se jo rizq denay waloun me sab se behtar hai.."
.
Hazrat Esa ne usko khola tau us me 7 fishes, 7 rotiyan aur sirka tha. Aur kaha jata hai k anar (pomegranate) aur dosray fruits thay. Aur intahai taiz pyari khushbu thi. Aur Allah ka isko 'ho ja' ka hukm mila tha, wo wajood me aker Asman se samnay agya..

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *