Hazrat Esa A.s Allah K Hukam sy Larhki ko zinda karna

2:51 PM

Zinda honay wali larki ka haal aur Saam bin Nooh A.s ka zinda hona
.
Esa A.s ne us larki se pucha, " tu ne dair kis wajha se ki.."
Arz kia;
..."jab pehli baar awaz aye tau Allah ne farishtay ko bheja, us ne mere a'azaa (organs) ko hukm-e-Ilahi se durast kia aur mere jism ko jora.
.... phir dosri baar awaz aye tau mere jism me rooh daal di gae.
... phir teesri bar awaz aye tau mujhay darr lga k kahin ye qayamat ki cheekh tau nhi.
.. qayamat k darr se mera sir safaid (white) hogya. Aur meri palkain aur eye brows bhi darr se foran white hogaen.
.
Phir larki apni maa ki traf mutawjja hue aur kaha;
.."haye maa, aap ko kis cheez ny majboor kia k aap ne mujh ko dobara uthwaya?
Amma, aap kash sabr karti aur Allah se sawab ki umeed rakhti. Mujhy ab dunya ki koi hajat nhi rahi.
.
Phir larki Esa ki traf mutawjja hue;
..." Ae Allah k kalmay aur Us ki rooh , mere Rab se ye bhi faryad kr dijye k mujhy wapis aakhirat ki traf lauta de. Aur maut ki sakhti ko mujh pe aasan kar de.
Tau Esa A.s ne us ki baat bhi qabool kar li aur dua ki aur wo larki wapis maut ki aaghosh me chali gae. Aur zameen usko apny andar lay gae.
.
Is trah Hazrat Esa ki zindage me aik azeem muajizah ka zahoor hua. Aur yahood Esa A.s per mazeed ghazabnak hogae.
.
Is he trah bani Isra'ael ne Hazrat Esa se Saam bin Nooh A.s ko dobara zinda uthaye janay ka sawal kia.
Tau Esa ne Allah k hukm se Saam bin Nooh ko zindah kia aur wo kharay hogae.
Aur phir unho ne Esa ko Hazrat Nooh ki kashti (Noah Ark) aur us se related dosri batain aur khabrain zikr ki.
.
Phir Hazrat Esa A.s ne dobara Bargah-e-Rabbul Izzat me hath uthaye aur Saam bin Nooh dobara maut ki wadi me wapis chalay gae.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *