Hazrat Esa A.S k baad Hazrat Maryam A.S ka ahwaal

2:38 PM

Hazrat Esa A.S k baad Hazrat Maryam A.S ka ahwaal
.
Hazrat Esa k aasman per uthaye janay aur un k hum-shakal ko suli per charh janay k baad Umme-Esa aur aik aurat (jis ka Hazrat Esa ilaaj kia krtay thay) roti hue suli charahy shakhs k paas ayen. aur Badshah se sawal kia k is ko suli se utara jae. (Maryam guman kar rahi theen k ye Hazrat Esa hain).
.. Tau phir Badshah ne ijazat de di aur phir us jism ko dafan kia gya.
.
Maryam, Umme-Yahya k sath Esa ki qabar ki ziyarat k lye gaen tau wahan qabar per Jibra'el A.S ko mojoud paya. unho ne kaha k ye Maseh ki qabar nahi hai.
Maseh ko tau Allah ne aasman per utha lya hai.
Aur is baat ki alamat ye hai k ye shakhs dunya se gumm hai aur dosri alamat ye hai k jab fla'an din aye tau fla'an jagah chali jana.
.
Tau phir Maryam A.s jab muqarrah waqt per bataye gae muqam per gaen tau Esa apni Maa ko mill gae. Esa foran aye aur apni Maa ka matha chooma aur un k lye dua ki aur farmaya: ....
..." Ae Maa! Allah ne mujhay apnay paas utha lya hai aur ab meri aap ki mulaqat agay hogi. aur maut aap k qareeb aa chuki hai. Lehaza sabr karain aur kasrat se Allah ka zikr karain.
.
Phir Esa A.s wapis chalay gae.
.
Riwayat k mutabiq Maryam A.s Hazrat Esa k baad 5 saal zinda raheen aur 53 saal ki age me wafat paa gaen.
.
Riwayat hai k Jab Hazrat Esa aasman per uthaye gae tau us waqt un ki age 24 saal thi,
ya 33 saal thi... (Wallah-Alam)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *