Hazrat Esa A.S ka samandar (sea) per chalna

2:42 PM

Hazrat Esa A.S ka samandar (sea) per chalna
.
Hazrat Esa A.S k log un ko dhoondtay hue Samandar ki traf gae tau dekha k Esa A.S samandar per chal rahay thay.
Kabhi koi mauj aap ko ouper utha deti , phir koi mauj aap ko nechay utaar deti. .. Aur aap ne aik chadar ourh rakhi thi, aur aik chadar ki azaar (lungi) baandh rakhi thi.
.
Hatta k aap logoun k pas phunchay tau aik admi ne kaha, " kia main aap k paas na ajaoun Ae Allah k nabi??''
Esa ne kaha; Kioun nahi.
.
Phir us admi ne aik qadam pani per rakha aur dosra rakhnay laga tha k cheekha, Ohh, Ae Allah k Nabi, main tau gharq ho raha houn...
Esa ne farmaya, " Mujhay apna hath de, Ae kamm eman shakhs. Agar Ib-e-Adam ka 'jau' (Barley) k barabar bhi yaqeen durast ho tau wo pani per chal paray..." (Subhan'Allah)
.
Riwayat hai k Allah Ta'ala ne Esa ko wahi farmai k Ae Esa aik jagah se dosri jagah mutaqil /transfer hota reh, kahin log teray thikanay ko na jaan lain, phir tujh ko takleef phunchay. .
.
Riwayat k mutabiq Esa A.s ne apnay logoun se kaha:
" Jau / barley ki roti khao aur khalis pani peo aur dunya se aman o salamti k sath nikal jao. aur gandum /wheat ki roti se bacho, kioun k tum uska shukar ada nahi kar sktay.
..Dunya se ibrat pakro aur is ko abaad na karo , dunya ki muhabbat har khata ki jar/root hai aur bad-nigahi dil me shehwat ko paida karti hai..."



You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *