Hazrat Esa A.S ko Aasman per uthaye janay ka zikr

2:40 PM

Hazrat Esa A.S ko Aasman per uthaye janay ka zikr
.
" Aur wo, yani yahood Esa k qatal k lye khoob chaal chalay, aur Khuda bhi Esa ko bachanay k lye chaal chalay aur Khuda khoob chaal chalnay wala hi hai...
Us waqt Khuda ne farmaya, Esa! Main tumhari dunya me rehnay ki muddat puri kar k tum ko Apni traf utha lounga.
Aur tumhay kafir'oun (ki suhbat) se paak kar dounga. Aur jo log tumhari perwi krengay, unko kafir'oun per qayamat tak ghalib rakhounga. Phir tum sab Mere paas laut aao gay.
Jin batoun me tum ikhtilaf karty thay, us din tum me us ka faisla kar dounga.."
.
Tau Allah Ta'ala ne saaf irshad farmaya k Esa ko aasman per utha lya gya hai. aur un yahood se aap ko chutkara dila dya jo aap ko azyat o qatal k darpay thay. aur aik zalim Badshah ki support unko hasil thi.
.
Us Badshah ka naam Dawood bin Nora tha. aur us ne Esa k qatal ka hukm jari kia tha.
Phir logoun ne Bait-ul-Muqaddas me aap ko ghair lya aur ye Friday ki sham aur Saturday ki raat thi.
.
Esa A.s apnay 12 sathioun k sath ghar me dakhil hue, aap ny farmaya,
..." acha, tum me se koun hai jis ko meri shakal de di jae aur phir wo mere badlay qatal kar dya jae, tau wo jannat me mere darjay me mere sath hoga..."
.
Tau aik nojawan shakhs khara hua aur arz kia k, main hazir houn.
Tau phir us jawan ki shakal Esa wali hogae.
Aur Esa A.S us ghar k roshan-daan se Aasman per utha lye gae...
.
Aur ghar walay aap ko uth'ta daikh rahay thay.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *