Hazrat Esa ki siffa'at aur hulya mubarak

2:37 PM

Hazrat Esa ki siffa'at aur hulya mubarak
.
Farman-e-Ilahi hai:
..... " Nahi thay (aur kuch) Maseh ibne Maryam, magar Rasool. In se pehlay Rasool guzar chukay. Aur un ki Maa siddiqa theen..." (Maida'a 75)
.
..." Phir Hum ne in (Rasooloun) k peechay apnay (dosray) Rasool bhejay aur Esa Ibne Maryam ko bheja aur usko Injeel (Bibel) di... " (Al-Hadeed 27)
.
Bukhari me hai k Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya:
.
...." Jis raat mujhay (Aasmanoun per) lay jaya gya tau main ne Musa A.s se mulaqat ki tau wo bht josh o jazbay walay insan thay. Baray qad-awar, achi jisamat, bharay jism walay thay, goya "Shinwah" ya "Zit" (qabeelay) k logoun me se houn. Un k baal kuch ghunghriyalay (curl) thay. ...
.
..... Aur main ne Esa se mulaqat ki. Darmiyanay qad walay (Medium height), surkh o safaid chehray walay thay. Ghanay baaloun walay aur kushada seenay walay thay. (aur us waqt youn lag rahay thay) goya ghusal khanay se naha kar niklay houn...
.
.....Aur main ne Ibrahim A.S ko daikha aur main un ki aulad me sab se zyada un ki shakal o surat wala houn..." (Al-hadees)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *