­
PAIGHAM 786: Hazrat Muhammad SAW ki paidaish Mubarak (Birth)

Hazrat Muhammad SAW ki paidaish Mubarak (Birth)

12:49 AM

Hazrat Muhammad SAW ki paidaish Mubarak (Birth)


Kaha jata hai k jab Aap ﷺpaida hue tau aik yahoodi Aalim, jo k Makkah me rehta tha, us ne pucha, kia aaj tumharay haan koi bacha paida hua hai??
.. Tau logoun ne kaha k humay tau maloom nahi ...
Tau yahoodi ne kaha, main jo kehta houn wo achi trah sunn lo. Aaj is ummat ka akhri paighamber janam lay chuka hai. aur is k mondhay /shoulder k pass bator-e-alamat aik muhur/stamp hai, jis me bht zyda baal houngay.
.
Log is baat se bht hairan hue.
Wapis hue tau maloom hua k aaj Abdullah k haan larka paida hua hai.
Ab ye Qureshi phir us yahoodi se milay jo pehlay hi bachay ko dekhnay k lye be-qarar tha. Tau Qureshi us ko laiker Abdullah k haan phunchay aur yahoodi ne Hazrat Amna se bacha mangwaya.
Amna se bachay ko kapray se bahar nikala, un logoun ne aap ki kamar /back dekh li aur yahoodi ko jaisay hi kamar per ''Muhur-e-Nabuwat" nazar aye tau gham o haibat ki wajha se behosh ho k gir para.
.
Riwayat hai k jab Hazrat Ibrahim A.s paida hue tau Hazrat Jibra'ael ne akar un ki naaf kati aur un k kaan me Azaan kahi aur phir un ko safaid/ white kapra pehnaya.
... Aur jab fakhr-e-do jahan Aap ﷺ paida hue tau aap ﷺ khatna shuda (circumcised) thay. aur aap ﷺ ki naaf kati hue thi.
... Aur aap ﷺ ki ankhoun me surma lga hua tha aur badan-e-Athar tamam aalaishoun se pakeezah tha.
.
Jab Abdul-Muttalib ne apna pota (grandson) khatna-shuda aur naaf kata hua paya tau bht khush hue aur farmaya, 'mera ye beta nirali aur bari shaan wala hoga...'.
Aur jab aap ﷺ paida hue tau aap ﷺ ki muthi / fist band thi aur shahadat ki ungli / index finger aasman ki traf uthi hue thi. (goya Khuda ki wahdaniyat ka iqrar kar rahy hain..) Subhan'Allah

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *