­
PAIGHAM 786: Husn e Kainat Hazrat Muhammad saw ka hulya husn-o-jamal

Husn e Kainat Hazrat Muhammad saw ka hulya husn-o-jamal

10:56 AM

Husn e Ka'ainat Hazrat Muhammad SAW ka hulya husn-o-jamal

.
Hazrat Muhammad saw k jamal jahan-Ara ko ta'abeer kar dena aur noor-e-mujassim ki tasweer kashi karna taqat se bahar hai. Laiken phir bhi Sahab Akraam ne apni apni himmat o wus'at k baqadar usko biyan farmaya hai.
.
..."Hazoor e Aqdas SAW na zyada daraz qad thay na pasta qad thay, bulkay miyana qad thay (medium height).
Aur rang me bht hi zyada safaid /white na thay (jo aeb lagta hai) na bilkul sanwali rangat k thay.
(bulkay chodh'ween raat k chand se zyada roshan noor aur mula'aemat rakhtay thay).
.
Hazoor Pak ﷺ k baal mubarak na bilkul seedhay thay na bilkul paich-daar, bulkay halkay ghunghriyalay (Curl) thay.
40 years age ho janay per Allah Ta'ala ne aap ﷺ ko Apna Nabi banaya, aur 10 years (almost) Makkah me rahay aur 10 years Madinah me rahay.
60/63 years ki age me aap ﷺ ko wafat di gae. aur is age me aap k sir mubark aur darhi/ beard me 20 baal se zyada bhi white na thay... (Tarmezi sharif)

.
Hazrat Ali R.A farmatay hain:
.

....” Hazrat Muhammad ﷺ farbah (fat) jism na thay.
Aur na hi aap ﷺ ka chehra bilkul gol tha. bulkay kuch gol tha (jis ko kitabi chehra kehtay hain)
Aap ﷺ ki aankhoun ki siyahi (black part) nihayat siyah/ black (aur safaidi/ whiteness nihayat safaid /white thi), aur palkain daraz theen (big eye lashes).
Badan k joints ki jagah means pathay/ muscles 'pur-gosht' thay. aur dono shoulders ki middle ki jagah bhi 'pur-gosht' thi means strong.
Aur aap ﷺ k badan mubarak per zyada baal na thay, bulkay chest per bhi ouper se naaf tak baloun ki sirf aik bareek/thin si lakeer thi.
.
Jab aap ﷺ chalaty tau qadmoun ko quwwat/ force se uthatay aur aesa lagta goya nashaib/ dhalaan me utar rahy hain.
Jab aap ﷺksi ki traf mutawajja hotay tau puray haseen sarapa k sath mutawajja hotay (means mutakabbir/ rude ki trah be-rukhi ka andaz na farmatay),
aur aap ﷺ k dono shoulders k darmiyan 'muhr-e-Nabuwat' thi jo k masehri ki ghundi ki trah thi aur kabootar k anday k barabar thi.
.
Sab se zyada sachay o saaf go aur narm tbiyat walay thay aur sab se zyada shareef gharanay walay thay aur aap ﷺ ko jo dekhta, mar'oob /impress ho jata.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *