Baheera ka qissa: (Journney to Syria with Abu Talib)
7:15 AM
Baheera ka qissa: (Journney to Syria with Abu Talib)
Hazrat Muhammad ﷺ apnay chacha Abu Talib k sath Shaam/ Syria rawana hue.
Jab qafila Syria k border per shehar "Basri" me phuncha tau wahan 'Baheera' naam ka aik padri /priest apnay Ibadat-khanay me rehta tha aur wo "Nasraniyat" k ilm se puri trah waqif tha.
.
.... Jab ye qafila us priest k qareeb phuncha tau us ne qafilay waloun ko pur-takalluf khanay ki dawat di. aur is ki wajha ye thi k jab ye qafila us k qareeb utra tau us ki nazar 'Sarwar-e-kainat ﷺ' per pari, jis per wo foran chonk gya k khas aap ﷺ per badal ka tukra saya'figan hai.
...
aur phir aap ﷺ aik aesay darkht/ tree k nechay ja thehray, jis k nechay aur koi na jata tha aur phir us darkht ki shakhain/ stems aap per jhuk gaen. aur har aik aap ﷺ per apna saya dalnay ki koshish me thi.
.
Padri ye surat-e-haal dekh kar apnay Ibadat-khanay se nikla aur khana tayyar karwa kar qafilay ki dawat ki.
..... Jab sab qafilay k log khanay me shareek hue tau us ne sab ko achi trah dekha aur Hazoor ﷺ ko un me na paya (wo qafilay k saman ki hifazat k lye khanay me shareek na thay).
Padri ne kaha k ye tum ne ghalti ki, usko bhi bulao ta k khanay me shareek ho.
.
Phir Hazoor ﷺ ki amad k baad bar bar dekhta aur apnay zehan me mojoud Nabi Akram ﷺ ki nishanioun k sath mutabiqat karta jata. Hatta k logoun k khanay se farigh honay k baad Hazoor Pak se sawal jawab kye aur akhir me 'Muhr-e-Nabuwat' ki zyarat ki jo ubhray hue baray button ki trah thi.
phir Padri/ priest Abu Talib ki traf mutawajja hua aur kaha:
.
......."Ae Abu Talib, ab tum ye baat achi trah zehan nasheen karlo, Yahoodi'oun se in ki hifazat karni hai. agar wo bhi in ko pehchan gae tau wo zarur aap ﷺ ko takleef phunchanay ki koshish karaingay.
.
Phir jald hi Abu Talib ne Muhammad ﷺ ki wapsi ka saman kia.
0 Comments