Bibi Amna ki wafat aur hazrat Muhammad SAW ke Parwarish
7:13 AM
Bibi Amna ki wafat aur Dada ki parwarish
.
Phir jab aap ﷺ wapis agae tau ab aap apnay dada sardar Abdul Mutalib aur apni maa Amna k zer-e-saya bari tezi se parwarish patay rahay. aur Allah aap ﷺ ko khoob taraqqi ata'a karta raha. kioun k aap se dunya ka azeem maqsad pura karwana tha.
.
Phir jab aap ﷺ ki age 6 saal ko phunchi tau aap ﷺ ki walida Bibi Amna ki wafat hogae, aur aap ki parwarish Dada Abdul Mutalib ne bari muhabbat se karna shru ki.
.
Hazrat Abdul Mutalib k lye Khana Ka'aba k saye me Masnad-e-Azam (Royal sitting) bichae jati thi, jis per Abdul Mutalib k siwa koi na beth'ta tha. Laiken Hazrat Muhammad be-dharak us per jalwa-e-afroze ho jatay aur dada bhi aap ko us per bethnay se mana na farmatay thay., bulkay khush hotay thay.
.
Makkah k kuch dana'a log (wise people) Abdul Mutalib se kehtay :
.
...." Is (Muhammad) ki hifazat kia karo, kioun k Maqam-e-Ibrahim per jo Hazrat Ibrahim A.s ka qadam hai, us ki shabahat (resemblance) is bachay k qadam se bilkul milti julti hai aur ksi ka qadam is k jaisa nahi hai..."
.
Aik din Abdul Mutalib Baitullah me Hijr-e-Aswad k qareeb bethay thay, us waqt un k pass Esai'oun (Christians) ka sab se bara padri/ Priest betha hua tha.
Us ne Hazrat Muhammad ki nabu'wat ki wo wo nishanian batae'en aur un ko dekh kar confirm kia k yhi akhri Nabi hoga.
.
Abdul Mutalib ne apnay betoun ko bulaya uar kaha k tum is ki (Muhammad ki) puri trah hifazat karo kioun k tum is k baray me suntay ja rahay ho , kia kia kaha jata hai.
.
Phir jab Hazrat Muhammad ﷺ 8 saal ki umar ko phunchay tau dada ki wafat hogae.
Phir aap ki parwarish aap k chacha Abu Talib ne ki, jo aap se bohut muhabbat kia karty thay.
0 Comments