­
PAIGHAM 786: Hazoor Pak SAW ki taizi se parwarish (brought up)

Hazoor Pak SAW ki taizi se parwarish (brought up)

7:08 AM

Hazoor Pak ﷺ ki taizi se parwarish (brought up)
Hazrat Halima farmati hain k jab Aap ﷺ 2 months k hue tau har traf halnay phirnay lagay. aur jab 8 months k hue tau aap bolnay laga aur aap ki baat samjhi jati thi. 
Aur 9 month me tau aap ﷺ bilkul saaf guftugu farmatay thay. aur 10 month ki age me baray bachoun k sath teer chalatay thay.
Halima farmati hain k Hazoor Pak ﷺ per daily aik aesi roshni aur noor utarta tha, jaisa soraj ki taiz roshni hoti hai. Phir wo noor ojhal ho jata (disappear).
Isi trah barka'at o rehmatoun ka zahoor hota raha aur aap ﷺ ka doodh peenay ka zamana chalta raha. 
Aap ﷺ se hi ksi bhi cheez ko baghair Bismillah k na touch karty thay.
Amma Halima farmati hain, jab se main Rasool Allah ko ghar laye thi, tab se hamaray qabeelay 'Bani Sa'ad' ka koi ghar aesa na raha tha, jis se mushk ki khushbu na aati ho. aur is trah logoun k diloun me Hazoor ki muhabbat o barkat ka aetaqad khoob barhta gya. hatta k yahan tak nobat phunchi k agar koi shakhs beemar hota ya badan per koi zakham, phoora nikal ata tau wo akar Aap ﷺ ka hath wahann lagwata. aur phir Allah Apnay paighamber k dast-e-rehmat ko khali wapis na karta, bulkay wo beemar foran sehat-yab ho jata. 
.
Isi trah beemar janwar bhi aap k dast-e-rehmat se malwaya jata aur wo sahi ho jata... (Subhan'Allah

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *