Hazrat Muhammad SAW ka doodh peena
7:03 AM
Hazrat Muhammad ﷺ ka doodh peena
.
Paidaish k moqay per jis yahoodi ki prediction ka zikr aya tha, us ne aap ﷺ ki aik aur alamat zikr ki thi, k ye bacha 2 raat tak doodh nahi piye ga.
... Aur ye baat different riwayaat me aye hai k Hazrat Muhammad ﷺ ne 2 ya 3 din raat tak doodh na piya tha aur ye ksi bemari ki wajah se tha.
.
Phir jab aap ne doodh peena start kia tau Hazrt Amina ne apnay lakht-e-jigr ko 7 din doodh pilaya.
Riwayat me 9 din ka bhi zikr hai.
.
Is k baad Sobia, jo Abu Lehab ki baandi thi, us ne Hazrat Muhammad ﷺ ko doodh pilaya (Hazrat Amina k baad sab se pehlay feed karanay wali Sobia hi hain).
Sobia ne aap ﷺ se pehlay aap ﷺ k chacha zaad bhai Abu Sufyan ko bhi doodh pilaya tha. Us se kuch saal pehlay Sobia ne Hazrat Hamza R.A ko bhi doodh pilaya tha.
Is trah ye dono aap ﷺ k 'Raza'ai bhai" kehlaye.
.
Isi trah Bani Sa'ad ki aik aurat (jo Halima k siwa hai) us ne bhi Hamza aur Muhammad ﷺ dono ko apna doodh pilaya. is trah k asal me tau wo Hamza ko feed kara chuki thi , aik martaba Hazrat Halima ne us aurat ko Hazoor ﷺ pakra dye, tau us ne aap ﷺ ko bhi feed kara dya.
... Aur Hazrat Muhammad ﷺ ko riwayat k mutabiq 8 aurtoun ne doodh pilaya tha.
.
Likha hai k aap ﷺ ka mujazah tha k Bani Saleem ki 3 koun'wari/ virgin larkioun ne bhi aap ﷺ ko doodh pilaya aur un teeno ka naam "Atika" tha.
Hazrat Muhammad ﷺ ka bhi farman hai k,
........" Main Bani Saleem ki "Atika'aoun" ka beta houn...."
Aur sab se zyada taweel muddat tak doodh pilanay wali Hazrat Halima Sadia hain.
0 Comments