­
PAIGHAM 786: hazrat Muhammad SAW ke Hazrat Khadijah R.a se Nikah Mubarak

hazrat Muhammad SAW ke Hazrat Khadijah R.a se Nikah Mubarak

7:18 AM

Hazrat Khadijah R.a se Nikah Mubarak
.
Jab aap ﷺ ki umar mubarak 25 saal hue tau Allah ki raza se hazrat Khadijah k sath aap ka nikah hua.
.
Khadijah bint-e-Khawelad aik tajir / merchant aurat thi. aur apna maal logoun ko de kar tijarat karwati thi.
Jab unho ne Hazoor Pak ﷺ ki sadaqat aur aala kirdar, amanat'dari wagera ikhlaq maloom hue tau aap ne Hazoor ﷺ se apnay maal ki tijarat karny ki khuwahish ki aur sath apna aik ghulam bhi denay par tayyar hogaen. Tau Hazoor agree hogae. aur phir Hazrat Khadijah ne dosroun ki nisbat aap ﷺ ka nafah/profit zyada rakha.
.
Bahar-hal, Hazoor Pak ﷺ ne wahan business kia aur wapis aker dosra saman Makkah me sell hua tau Khadijah ko double profit hua. 
Phir ghulam "Mesrah" ne bhi akar bht se Musha'hidaat/ analysis ka zikr kia, tau unho ne tamanna ki k wo Hazoor ﷺ se shadi kar lain..
.
Aur Hazrat Khadijah Quraish ki aurtoun me sab se shareef o buzurg aur sab se maal'daar theen. Is lye har aik aap se shadi ka khuwahis'mand tha. 
... Jab shadi ka paigham Hazoor ﷺ ki khidmat me phuncha tau aap ne apnau chacha / uncles se advice li. 
.
Tau Hazrat Hamza R.A aap ko laikar Hazrat Khadijah k father k pass lay gae aur aap ﷺ ki traf se bhi paigham dya aur unho ny qabool kar k shadi kardi.
.
Aqwal k mutabiq, Unka mehar 20 ount/ camels thay aur Hazoor pak ﷺ ki sab se pehli bewi Khadijah theen. aur siwae Ibrahim k, tamam aulad in hi se hue.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *