Hazrat Muhammad SAW ki barka'at: (Blessings)
7:05 AM
Hazrat Muhammad ﷺ ki barka'at: (Blessings)
.
Riwayat hai k Hazrat Halima apnay chotay doodh peetay bachay (Abdullah) aur apnay husband k sath apnay ga'aoun se nikleen aur Bani Sa'ad ki dosri aurtain bhi sath theen. Aur ye qafla/ troop is gharz se nikla tha k shehar / city se doodh peetay bachoun ko goud layen gi aur unki ujrat se guzar basar ka saman karengi.
.
Aur wo khushk-sali/ drought ka saal tha. Sab log barish ki umeed me thay.
Khud Halima kehti hain k... " main apni gadhi pe sawar thi, wo bhi bhook piyas se nidhal thi k bht mushkil se qadam uthati thi aur mera doodh bhi khushk hogya tha, jis ki wajha se mera bacha bhook ki wajah se sota na tha. Aur hamary sath doodh denay wali ountni bhi burhi aur kamzor ho chuki thi k chalo us ka doodh sahara ban sakta....
...Al-gharz hazar kharabi'oun k bawajod main (Halima) Makkah phunchi aur mere sath jo aurtain theen wo mujh se pehlay ja kar bachoun ko goud lay ayen. magar idhar Hazoor ﷺ k sath bhi yhi haal tha k aap ﷺ yateem/ orphan thay, jis ki bina per ksi aurat ne un ko qabool na kiya k ujrat denay wala usually baap hi hota hai, aur aap ﷺ k sir pr baap ka saya hi na tha, tu ujrat kahan se milay gi. ..."
.
Halima kehti hain k Pehli baar tau main bhi isi khayal se Hazoor ﷺ ko chorr aye thi.
Magar raat ko husband se mashwara kia k baray afsos ki baat hai k subah ko hamara qafla wapis janay wala hai aur sab k sath bachay hain aur Khuda ki qasam hum is yateem bachay ko layengay ta k humay sharmindage na ho.
... Husband ne bhi himayat ki aur kaha mujhy umeed hai us ki barkat se hamary haan khair o barkat ho jaegi.
Halima kehti hain k main ne jaisay hi Hazoor pak ﷺ ko galay se lagaya, mera chaatian doodh se bhar gaen.. aur aap ﷺ ne khoob sair ho kar piya. aur aap ka raza'ai bhai bhi aap ki barkat se shakam sair hogya. aur dono ne rahat o aram se raat basar ki.
Halima farmati hain k isi trah hamara doodh denay wala janwar bhi doodh se bhar gya.
.
Aur hazrat Halima apni hamsafar aurtoun k sath wapsi k safar ki dastaan sunati hain k main apni gadhi per sawar hue aur Hazoor Pak ﷺ meri goud me thay, tau wo gadhi is qadar taiz raftar hogae k tamam qaflay se agay nikal gae. aur baqi tamam logoun ko pechay chorr dya k sab hairan hogae.
.
Halima kehti hain k isi barkat k sath hum apnay watan phunchay aur wahan pehlay aesi khushk sali / drought tha k ghaas ka koi patta tak green na tha laiken Hazoor ﷺ k tashreef lanay se hamari bakriyaan/ goats khushki k bawajod jungle se khoob pait bhar k aati. aur khoob doodh deti.
Jab k sari qaum ki bakriyan jungle se bhooki wapis ati aur doodh ka qatra tak na deti.
Tau log charwahaoun/ goat herders ko kehtay k tum bhi bakriyan wahan kioun nahi charatay jahan Halima ki bakriyan khati hain??
Laiken is k bawajod bhi un ki bakriyan khali pait aur meri bakriyan shakam sair wapis aati thi.
0 Comments