Hazrat Muhammad SAW kWafat ka din: (Death day of Hazrat Muhammad ﷺ)
3:07 PM
Wafat ka din: (Death day of Hazrat Muhammad ﷺ)
Riwayat hai k jab "do shumba" ka roz hua, jis me Hazrat Muhammad ﷺ ki wafat hue tau jis waqt subah ki namaz ho rahi thi, Aap ﷺ pardah utha kar hujray k darwazay per kharay hue.
Musalman namaz me aap ﷺ ki tashreef-awri ko dekh kar khushi k maray be-chain hogae.
Aap ﷺ ne musalmanoun ko namaz me dekh kar tabassum (smile) farmaya.
.
Anas R.A. kehtay hain, us waqt se zyada main ne kabhi Rasool Allah ﷺ ki surat ba-ronaq aur achi nahi dekhi thi.
Phir us k baad aap ﷺ wapis hujrah me tashreef lay gae. Aur log samjh gae k aap ﷺ ko marz se afaqa hogya.
0 Comments